Allah Pak ki Safat aur insan Zuloom O Jahool ki zabaan goya chota muh badi baat hai.Agar tamam jahan
ke dariyaon ki roshnai ban jaye aur Duniya bhar ke darakhaton ke qalam tarashe jayen aur Allah Pak ki
hamd o sana Likhn chahen to ye sb samaan roshnai wagairah khatam ho jayen balki agar itne hi dariya is
roshnai ki madad ke liye aur layen jayen to bhi khatam ho jayen lakin Allah Pak ki Hamd O Sana
hargiz nhi likhi ja sakti .
aur mere is dawe ke saboot mai ye shahadat kaafi hai ki Allah apne "Habib Ahmad Mujtaba
Muhammad Mustafa Sallalaho Alaih Wassalm" Se khud irshad farmata hai ki jitne ye hamari
Hamd O Sana likhne wale hain unse kah do "Kul Lau kana Bahrul Madada Likalemati Rabbi
Lanafeda Bahru Qabla un Tanfada kalimatu Rabbi Walau Jiyena Bemisle Madada" itni to
Aala shan aur os per ye Qurb aur ehsan ki "Wa anhnu Aqrabu Elaihe Min Hablil Wareed"
Hum tumhari Rage Gulu se bhi nazdeek tar hain .