Allah Pak Ki Hamd O Sana

Khanqah e Chishtiya
0

 Allah Pak ki Safat aur insan Zuloom O Jahool ki zabaan goya chota muh badi baat hai.Agar tamam jahan 

ke dariyaon ki roshnai ban jaye aur Duniya bhar ke darakhaton ke qalam tarashe jayen aur Allah Pak ki 

hamd o sana Likhn chahen to ye sb samaan roshnai wagairah khatam ho jayen balki agar itne hi dariya is 

roshnai ki madad ke liye aur layen jayen to bhi khatam ho jayen lakin Allah Pak ki Hamd O Sana 

hargiz nhi likhi ja sakti .


aur mere is dawe ke saboot mai ye shahadat kaafi hai  ki Allah apne "Habib Ahmad Mujtaba 

Muhammad Mustafa Sallalaho Alaih Wassalm" Se khud irshad farmata hai ki jitne ye hamari     

Hamd O Sana likhne wale hain unse kah do "Kul Lau kana Bahrul Madada Likalemati Rabbi 

Lanafeda Bahru Qabla un Tanfada kalimatu Rabbi Walau Jiyena Bemisle Madada" itni to 

Aala shan aur os per ye Qurb  aur ehsan ki "Wa anhnu Aqrabu Elaihe Min Hablil Wareed" 

Hum tumhari Rage Gulu se bhi nazdeek tar hain .




"Jalla Jala lahu Wa Amma Nawa lahu" ab kya talash karen aur kahan dhondhe jyen .





Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)